hamin hain dar-haqiqat apne qari hamin tak baat pahunchegi hamari kahin par sar chhupana hi padega agar hoti rahegi sang-bari kabhi fursat mile hum ko to sochen koi manzar hai kitna etibari sabhi ko dhup mein tapna padega jahan suraj ki pahunchi hai sawari muqaddar ho chuki khirda-faroshi yunhi ginte raho bas rezgari mujhe har aan khae ja raha hai mere ehsas ka kutta shikari har ek diwar girti dekhta hun bahut mahngi padi hai hoshiyari