haq pasandon se jahan bar-sar-e-paikar sahi

haq pasandon se jahan bar-sar-e-paikar sahi
kuchh dinon aur bhi ruswa sar-e-bazar sahi

khun-e-masum se tamir hai bustan-e-wajud
ishrat-e-dahr se mahrum wafadar sahi

jehd-o-isar se raushan hai wafa ki qindil
dil-girafta haram-e-pak ka meamar sahi

mera iman hai elan-e-haqiqat karna
lakh mansur ki khatir rasan-o-dar sahi

azm-e-rasikh hai to har gam hai manzil ba-kanar
wahshat-asar siwa darra-e-dushwar sahi

aabla-pa se bujhate hi chalo tishna-labi
mumtahin jada-e-auqat ka har khar sahi

badh ke lena hai hamein jurat-e-isar se kaam
hail-e-rah-e-junud-e-gham-o-azar sahi

dal do bahr-e-hawadis mein khuda par kashti
na-khuda dam-e-tawahhum mein giraftar sahi

rahbar jazba-e-sadiq dil-e-masum ka hai
har nafas zist ka ek manzil-e-dushwar sahi

sarfaroshan-e-watan aaj watan ki khatir
ek gulzar ho tamir sar-e-dar sahi

husn-e-akhlaq se 'bebak' raho sina-sipar
dast-e-aghyar mein shamshir-e-sharar-bar sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close