haqiqaton se magar munharif raha na gaya so shahr-e-khwab se apna bhi aab-o-dana gaya harif-e-zat ajab the ki umr bhar khud ko bura samajhte rahe par bura kaha na gaya jo muntashir hun to hairat na kar ki dariya mein bhanwar ke baad kisi lahr mein baha na gaya ajib lams tha ab ke junun ke hathon mein qaba-e-rang mein khushbu se phir raha na gaya hawa mizaj tere dar-ba-dar rahe ta umr kisi bhi dasht kisi shahr mein basa na gaya zamin se ud ke zamin tak pahunch gai aakhir sarisht-e-khak se aflak mein raha na gaya