har bar naya le ke jo fitna nahin aaya

har bar naya le ke jo fitna nahin aaya
is umr mein aisa koi lamha nahin aaya

hun ghar mein ki ahbab mein matub rahe hum
kuchh hum se na aaya to dikhawa nahin aaya

aaluda kabhi gard-e-talab se na hue hum
honton pe kabhi harf-e-tamanna nahin aaya

ye bhi hai ki mauzun na thi duniya ki rawish bhi
kuchh hum se bhi jine ka saliqa nahin aaya

chhoda to na tha hum ne sawalon ka koi hal
thi jis ki tawaqqo wo natija nahin aaya

nilam na kar di ho kahin pyas ki ghairat
is bar koi kufe se pyasa nahin aaya

ek shakhs paheli ki tarah sath tha mere
main shahr se nikla to akela nahin aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close