har be-khata hai aaj khata-kar dekhna sachchaiyon pe jhut ki yalghaar dekhna taqdir ban na jae shab-e-tar dekhna bujhne ko hai charagh sar-e-dar dekhna maqtul ki jabin pe hai qatil likha hua kya faisla ho kal sar-e-darbar dekhna hoga bahut shadid tamazat ka intiqam sae se mil ke roegi diwar dekhna in pattharon ke sae mein rukna fuzul hai be-barg-o-be-samar hain ye kohsar dekhna is shahr-e-arzu ko nazar kis ki kha gai maqtal bane hain kucha-o-bazar dekhna kuchh din agar ye mausam-e-wahshat-asar raha har aadmi ko be-dar-o-diwar dekhna deta hun kaise jaan sar-e-jada-e-wafa mujh ko na dekhna mera pindar dekhna khun-e-jigar se likhta hun 'saghar' main harf-e-haq waqt aae to qalam ko bhi talwar dekhna