har chand apna haal na hum se bayan hua ye harf-e-be-wajud magar dastan hua mana ki hum pe aaj koi mehrban hua dil kanpta hai ye bhi agar imtihan hua jo kuchh main kah chuka hun zara us pe ghaur kar jo kuchh bayan hua hai ba-mushkil bayan hua ab tum ko jis khulus ki hum se umid hai muddat hui wo nazr-e-dil-e-dostan hua tufan-e-zindagi mein zarurat thi jab teri mujh ko har ek mauj pe tera guman hua aadab-e-qaid-o-band ne badla ajib rang kunj-e-qafas ka nam bhi ab aashiyan hua aansu nikal pade hain khushi mein tere huzur kis tamkanat ke sath ye dariya rawan hua