har ek bandish-e-khud-sakhta bayan se utha takallufat ka parda bhi darmiyan se utha faqat khala hi nahin hai sada lagate chalo ki abr-e-barish-e-naisan bhi aasman se utha shajar ke sae mein baitha hun main tujhe kya hai jo ho sake to mujhe apne aastan se utha fusun-taraaz thi kab chashm-e-nim-wa itni lahu ka fitna magar zeb-e-dastan se utha nazar na aai jo rah-e-mafar to phir main bhi dhuan dhuan sa sar-e-bazm-e-dostan se utha yahan ki rasm hai 'sahba' kasad-bazari ye jins-e-dil hai badi be-baha dukan se utha