har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha

har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha
wo shakhs qaid-e-yaran-e-tez-gam raha

safar alamat-e-hasti safar dalil-e-hayat
khusha wo log safar jin ka na-tamam raha

hayat-e-gul ka hayat-e-chaman hai paimana
amar hai phul chaman ko agar dawam raha

bayaz-e-mehr nigal kar bhi raat raat rahi
siyahkar ka chehra siyah-fam raha

hayat-o-maut ke sangam pe ji rahe hain hum
hamara jashn-e-tarab bhi gham-iltizam raha

zamana khud ko mukhatab samajh na le mera
main apne aap se dar-asl ham-kalam raha

ajib 'jafar'-e-farkhanda-jaan ka mashrab hai
ki rind ho ke bhi khush-bakht nek-nam raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close