har ek rah se aage hai KHwab ki manzil

har ek rah se aage hai khwab ki manzil
tere huzur se badh kar ghayab ki manzil

nahin hai aap hi maqsud apna jauhar-e-zat
ki aaftab nahin aaftab ki manzil

kuchh aisa ranj diya bachpane ki ulfat ne
phir us ke baad na aai shabab ki manzil

musafiron ko barabar nahin zaman-o-makan
hawa ka ek qadam aur habab ki manzil

mohabbaton ke ye lamhe daregh kyun kije
bhugat hi lenge jo aai hisab ki manzil

milegi baada-gusaron ko shaikh kya jaane
gunah ki rah se ho kar sawab ki manzil

masam nach rahe hain muamlat ke liye
guzar gai hai sawal-o-jawab ki manzil

mili jo aas to sab marhale hue aasan
nahin hai koi bhi manzil sarab ki manzil

mizaj-e-dard ko aasudgi se ras karo
kahan milegi tumhein iztirab ki manzil

rah-e-junun mein talab ke siwa nahin 'sayyad'
agarche tai ho khuda ki kitab ki manzil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close