har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe

har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe
ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe

pasand-e-khatir-e-ahl-e-wafa hai muddat se
ye dil ka dagh jo khud bhi bhala lage hai mujhe

jo aansuon mein kabhi raat bhig jati hai
bahut qarib wo aawaz-e-pa lage hai mujhe

main so bhi jaun to kya meri band aankhon mein
tamam raat koi jhankta lage hai mujhe

main jab bhi us ke khayalon mein kho sa jata hun
wo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe

main sochta tha ki lautunga ajnabi ki tarah
ye mera ganw to pahchanta lage hai mujhe

na jaane waqt ki raftar kya dikhati hai
kabhi kabhi to bada khauf sa lage hai mujhe

bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka wajud
har ek fard koi saneha lage hai mujhe

ab ek aadh qadam ka hisab kya rakhiye
abhi talak to wahi fasla lage hai mujhe

hikayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai
zamana ghaur se sunta hua lage hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close