har ghadi inqalab mein guzri zindagi kis azab mein guzri shauq tha mana-e-tajalli-e-dost un ki shokhi hijab mein guzri karam-e-be-hisab chaha tha sitam-e-be-hisab mein guzri warna dushwar tha sukun-e-hayat khair se iztirab mein guzri raaz-e-hasti ki justuju mein rahe raat tabir-e-khwab mein guzri kuchh kati himmat-e-sawal mein umr kuchh umid-e-jawab mein guzri kis kharabi se zindagi 'fani' is jahan-e-kharab mein guzri