har rasta pur-bahaar hua hai abhi abhi dil dil ka raazdar hua hai abhi abhi daman ki dhajjiyon ko sitaron se bandh kar koi falak ke par hua hai abhi abhi us ko pata nahin hai khizan ke mizaj ka wo waqif-e-bahaar hua hai abhi abhi ishq-e-bashar se ishq-e-khuda mo'tabar hua ye nukta aashkar hua hai abhi abhi ashkon mein tair utthi lahu ki lakir si dil par nazar ka war hua hai abhi abhi aa ja khuda ke waste aa ja na der kar dil mera wa-guzar hua hai abhi abhi maujon ki sina-kubi batati hai barmala dariya ke koi par hua hai abhi abhi us par likhi thi jaan-e-mohabbat ki dastan daman jo tar tar hua hai abhi abhi