hawa-e-hijr mein jo kuchh tha ab ke KHak hua

hawa-e-hijr mein jo kuchh tha ab ke khak hua
ki pairahan to gaya tha badan bhi chaak hua

ab us se tark-e-talluq karun to mar jaun
badan se ruh ka is darja ishtirak hua

yahi ki sab ki kamanen hamin pe tuti hain
chalo hisab-e-saf-e-dostan to pak hua

wo be-sabab yunhi rutha hai lamha-bhar ke liye
ye saneha na sahi phir bhi karb-nak hua

usi ke qurb ne taqsim kar diya aakhir
wo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimak hua

shadid war na dushman diler tha 'mohsin'
main apni be-khabari se magar halak hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close