hawa se istifada kar liya hai

hawa se istifada kar liya hai
charaghon ko libaada kar liya hai

bahut jine ki khwahish ho rahi thi
so marne ka irada kar liya hai

main ghatta ja raha hun apne andar
tumhein itna ziyaada kar liya hai

jo kandhon par uthae phir raha tha
wo khema istada kar liya hai

na tha kuchh bhi meri pechidgi mein
to main ne khud ko sada kar liya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close