hikayat-e-lab-o-rukhsar se aage nahin jate wo naghme jo tumhaare pyar se aage nahin jate kamanden dalne aae the jo baam-e-surayya par wahi ab saya-e-diwar se aage nahin jate gada-e-zat kya jaanen nawa-e-kaenat ai dil ye wo mansur hain jo dar se aage nahin jate badi himmat dikhaenge to sahil chhod jaega hamare nakhuda manjdhaar se aage nahin jate ajab ahl-e-samaat hain jo zanjiron se ghabra kar teri pazeb ki jhankar se aage nahin jate murattab jin ko apni aabla-pai nahin karti wo afsane gul-o-gulzar se aage nahin jate