hosh mein aaun to sochun abhi dekha kya hai phir ye puchhun ki ye parda hai to jalwa kya hai donon aankhon mein hai ek jalwa to do aankhen kyun putliyon ka ye tamasha sa wagar na kya hai to ne pahchan liye apni khudai ke nuqush aaina jis ne taaruf ye karaya kya hai zindagi-bhar padhi taqdir ki khufiya tahrir lauh-e-marqad se padhun aage ka likkha kya hai main hun takhliq teri soz ka ham-mani hun tu hai mani to tera lafz se rishta kya hai har-nafas pet ka indhan hai yahan par ai fan hai jo hasil tera duniya hi to duniya kya hai