hue hain band dishaon ke sare raste aa

hue hain band dishaon ke sare raste aa
andhera chhane laga laut kar parinde aa

main teri sari tamazat ko jazb kar lunga
tu aaftab kabhi mere dil mein bujhne aa

kabhi dikha de wo manzar jo main ne dekhe nahin
kabhi to nind mein ai khwab ke farishte aa

yahan to kab se andheron mein gharq hai duniya
idhar jo aa to sitaron ki shaal odhe aa

na chupke chupke sulag ji ko apne halka kar
tujhe ye kaun sa dukh hai kabhi batane aa

bada sukun milega tujhe yahan aa kar
jo ho sake to kabhi mere dil mein rahne aa

dahakta shoala sa main ek dasht hun 'pashi'
agar ghata hai tu sawan ki to barasne aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close