hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu

hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu
kahan gaya hai mere shahr ke musafir tu

meri misal ki ek nakhl-e-khushk-e-sahra hun
tera khayal ki shakh-e-chaman ka tair tu

main jaanta hun ki duniya tujhe badal degi
main manta hun ki aisa nahin ba-zahir tu

hansi-khushi se bichhad ja agar bichhadna hai
ye har maqam pe kya sochta hai aakhir tu

faza udas hai rut muzmahil hai main chup hun
jo ho sake to chala aa kisi ki khatir tu

'faraaz' tu ne use mushkilon mein dal diya
zamana sahab-e-zar aur sirf shaer tu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close