hujum-e-yas mein lene wo kab khabar aaya ajal na aai to ghash kis umid par aaya bichhe hain ku-e-sitamgar mein ja-ba-ja khanjar rag-e-gulu ka lahu panw mein utar aaya dikhai marg ne kya kya bulandi o pasti chale zamin ke tale aasman nazar aaya hamesha afw tera hai gunah ka hami hamesha rahm tujhe mere haal par aaya buton mein koi bhalai bhi hai siwae sitam bura ho tera dil-e-na-saza kidhar aaya banai baat bigadne ne roz-e-mahshar bhi uthe hain khak se hum jab wo gor par aaya kahan ki aah-o-buka baat ban gai 'shola' zaban ke hilte hi fariyaad mein asar aaya