hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte karte hain agar kuchh to dikhawa nahin karte ye sach hai ki duniya ki rawish thik nahin hai kuchh hum bhi to duniya ko gawara nahin karte ek bar to mehman banen ghar pe hamare ye un se guzarish hai taqaza nahin karte duniya ke jhamele hi kuchh aise hain ki un ko hum bhul to jate hain bhulaya nahin karte farda pe hain nazren to kabhi haal pe nazren mazi ko magar mud ke bhi dekha nahin karte jin mein ki buzurgon ki koi qadr nahin ho hum aise gharon mein kabhi rishta nahin karte barish ho ki tufan ho ya aag ka jangal hum ghar se nikal jaen to socha nahin karte jo khwab nazar aata hai sarsabz zamin ka us khwab ki tabir bataya nahin karte bazar mein bikte nahin wo log umuman rishton ka jo apne kabhi sauda nahin karte
This is a great dikhawa shayari in urdu. True lovers of bike shayari sms will love this. Please share if you liked this!!!