hum garche dil o jaan se bezar hue hain

hum garche dil o jaan se bezar hue hain
khush hain ki tere gham ke saza-war hue hain

utthe hain tere dar se agar surat-e-diwar
rukhsat bhi to jun saya-e-diwar hue hain

kya kahiye nazar aati hai kyun khwab ye duniya
kya jaaniye kis khwab se bedar hue hain

aankhon mein tere jalwe liye phirte hain hum log
hum log ki ruswa sar-e-bazar hue hain

kuchh dekh ke pite hain lahu ahl-e-tamanna
mai-khwar kisi baat pe mai-khwar hue hain

zanjir-e-hawadis ki hai jhankar bahar-gam
kya jurm kiya tha ki giraftar hue hain

izhaar-e-gham-e-zist karen kya ki 'zafar' hum
wo gham hain ki sharminda-e-izhaar hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close