hum har qadam par soch ka ruKH moDte rahe

hum har qadam par soch ka rukh modte rahe
kitne sanam banate rahe todte rahe

halchal jo dil mein thi wo na lafzon mein dhal saki
rishte zaban o dil ke bahut jodte rahe

ubhra kiye shokuk nae dil mein har ghadi
har dam naya shagufa koi chhodte rahe

khud mein the aise dahr se na-ashna rahe
raushan haqiqaton se bhi munh modte rahe

partaw tha ek jamal ka aaya guzar gaya
saya tha jis ke pichhe sada daudte rahe

ab tak junun-e-ishq ki hain sar-bulandiyan
nahaq khirad ke nam pe sar phodte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close