hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin

hum is dayar ke is khak-dan ke the hi nahin
wahin pe aa ke base hain jahan ke the hi nahin

the jis ka markazi kirdar ek umr talak
pata chala ki usi dastan ke the hi nahin

safar se laut ke hairat hui parinde ko
ye khar-o-khas to mere aashiyan ke the hi nahin

har ek rang mein dekha hai us ko aankhon ne
ye rang pahle kabhi aasman ke the hi nahin

hamein bahaar ke mausam mein le udi hai hawa
wo barg-e-zard hain hum jo khizan ke the hi nahin

isi liye nahin rakkha hisab sanson ka
ki masale kabhi sud-o-ziyan ke the hi nahin

talash karte ho kyun 'shad' guzre lamhon ko
wo rah-rau to kisi karwan ke the hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close