hum maani-e-hawas nahin ai dil hawa-e-dost

hum mani-e-hawas nahin ai dil hawa-e-dost
raazi ho bas isi mein ho jis mein raza-e-dost

tughra-e-imtiyaz hai khud ibtila-e-dost
us ke bade nasib jise aazmae dost

yan jumbish-e-mizha bhi gunah-e-azim hai
chup-chap dekhte raho jo kuchh dikhae dost

milti nahin kisi ko sanad imtihan baghair
dar-o-rasan ke hukm ko samjho sila-e-dost

yaqub par fuzul hue log khanda-zan
yan la-makan se aati hai bu-e-qaba-e-dost

kya kam tha hijr-e-yar hi phir us pe rashk-e-ghair
dushman ko bhi khuda na kare mubtala-e-dost

hai ruh bhi nisar badan bhi nisar-e-yar
dil bhi fida-e-dost jigar bhi fida-e-dost

'jauhar' wo sabr aap hi dega agar hamein
hai imtiyaz-e-wada sabr-azma-e-dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close