hum umr ke sath hain safar mein baithe hue ja rahe hain ghar mein hum lut gae teri rahguzar mein ye ek hui hai umr-bhar mein ab kaun raha ki jis ko dekhun ek tu tha so aa gaya nazar mein hasrat ko mila hai khana-e-dil taqdir khuli gharib ghar mein aankhen na churao dil mein rah kar chori na karo khuda ke ghar mein ab wasl ki raat ho chuki khatm lo chhup raho daman-e-sahar mein main aap hi un se bolta hun baitha hun zaban-e-nama-bar mein 'muztar' karo dil hi dil mein shikwe rah jaegi baat ghar ki ghar mein