hum un ki nazar mein samane lage magar jab nazar bhi na aane lage ye teri sukhan-saziyan hain nadim kisi par wo kyun rahm khane lage na di ghair ne dad-e-tarz-e-sitam sitam-gar ko hum yaad aane lage na danish durust aur binish baja dil-o-dida donon thikane lage gaya tha ki in ki khushamad karun wo ulta mujhi ko banane lage kabhi khair-maqdam kabhi marhaba zaban par ye alfaz lane lage kabhi mere qurban hote rahi kabhi mujh ko pankha hilane lage kabhi let kar panw phaila diye kabhi dekh kar muskurane lage kiya main ne jab azm-e-bos-o-kanar to uth baithe aur munh chidhane lage kahin phir dupatta sambhalne laga kahin aadmi ko bulane lage khudaya kiya kis ne un par sitam ilahi ye kyun ghul machane lage wo dam mein kab aate the dete the dam ki samjhun mere dam mein aane lage wo mahfil mein aaen to 'nazim' zarur mughanni ye ashaar gane lage