humne aawaz na di barg o nawa hote hue

hum ne aawaz na di barg o nawa hote hue
aur milne na gae us ka pata hote hue

aankh ke ek ishaare se kiya gul us ne
jal raha tha jo diya itni hawa hote hue

ek patta sa larazta hun sar-e-shakh-e-guman
apne har-su koi tufan-e-bala hote hue

chal rahe hote hain dhaare kai dariya mein so hum
sab mein shamil bhi rahe sab se juda hote hue

waqt par aa ke baras to gae baadal lekin
der hi lag gai jangal ko hara hote hue

hum bhala dad-e-sukhan kyun nahin chahenge ki wo
aap tarif ka talib hai khuda hote hue

kuchh hamein bhi khabar is ki na hui khas ki hum
kya se kya hote gae asl mein kya hote hue

baat ka aur bhi ho sakta hai matlab aur phir
lafz tabdil bhi hota hai ada hote hue

kya zamana hai ki is gumbad-e-be-dar mein 'zafar'
apni aawaz ko dekha hai fana hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close