humne parind-e-wasl ke par kaT Dale hain

hum ne parind-e-wasl ke par kat dale hain
jazbaat utha rahe the jo sar kat dale hain

likhni thi hum ko ek nai dastan-e-hijr
sab waqiat-e-dida-e-tar kat dale hain

baithi rahe usi qafas-e-unsari mein ab
tegh-e-badan ne ruh ke par kat dale hain

ab sher zor-e-be-hunari se likhenge hum
duniya ne sare dast-e-hunar kat dale hain

ji chahta hai dast-e-taraqqi ko kat dun
jis ne hamare sare shajar kat dale hain

naqqad-e-khushk-zauq ke ghar ho raha hai jashn
aaj us ne sare misra-e-tar kat dale hain

shamen mukashfat-e-badan ki jalani thin
sab marifat ke tar-e-nazar kat dale hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close