humse karta hai abas guftar kaj

hum se karta hai abas guftar kaj
rast-bazon se na ho ai yar kaj

ishq-e-abru se teri ai kaj-kulah
bandhta hai mah-e-nau dastar kaj

hai tawazo bhi buzurgi ka nishan
kyun na ho piri mein jism-e-zar kaj

kaj-rawi is zulf ka hai khassa
jis tarah hai mar ki raftar kaj

hat yun qatil-jabinon ka laga
jis tarah pahne sanam zunnar kaj

rasti ek baat mein us ki nahin
kaj rawa kaj-maj zaban guftar kaj

qasr-e-tan piri mein jhuk kar kya ruke
gir pade kohna jo ho diwar kaj

ja-e-nazzara hai phirte hain hasin
topiyan rakh kar sar-e-bazar kaj

kaj-numa aaina-e-alam hai 'arsh'
be-sabab tedhe abas hain yar kaj


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close