humse wo jaan-e-suKHan rabt-e-nawa chahti hai

hum se wo jaan-e-sukhan rabt-e-nawa chahti hai
chand hai aur charaghon se ziya chahti hai

us ko rahta hai hamesha mari wahshat ka khayal
mere gum-gashta ghazalon ka pata chahti hai

main ne itna use chaha hai ki wo jaan-e-murad
khud ko zanjir-e-mohabbat se riha chahti hai

chahti hai ki kahin mujh ko baha kar le jae
tum se badh kar to mujhe mauj-e-fana chahti hai

ruh ko ruh se milne nahin deta hai badan
khair ye bich ki diwar gira chahti hai

hum parindon se ziyaada to nahin hain aazad
ghar ko chalte hain ki ab sham hua chahti hai

hum ne in lafzon ke pichhe hi chhupaya hai tujhe
aur inhin se teri taswir bana chahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close