husn-e-mukhtar sahi ishq bhi majbur nahin ye jafaon pe jafa ab mujhe manzur nahin zulf-e-zanjir sahi dil bhi giraftar magar main tere halqa-e-adab ka mahsur nahin dil ka sauda hai jo pat jae to behtar warna main bhi majbur nahin aap bhi majbur nahin daman-e-dil se ye begana-rawi itna gurez tum to ek phul ho kanton ka bhi dastur nahin chand jam aur ki maikhana-e-jaan tak pahunchen dhundne wale mujhe mujh se bahut dur nahin sab libason mein hain poshida gunahon ki tarah dil-e-bebak bhi mahfil ke tain aur nahin har sukhan hosh ka hai mufti-e-hairan ke sath sab piye baithe hain aur koi bhi makhmur nahin sab rasan-basta-e-azadi-e-iman hue ab koi mere siwa banda-e-majbur nahin us se mil kar bhi udas us ki judai bhi garan dil ba-har-haal kisi taur bhi masrur nahin