irtikab-e-jurm shar ki baat hai aur bari hona hunar ki baat hai ek kahani hai ki sadiyon par muhit sochne mein dopahar ki baat hai aae thahre aur rawana ho gae zindagi kya hai, safar ki baat hai ek shoala sa lapak kar rah gaya ye hayat-e-mukhtasar ki baat hai naseha gar ho sake manzil pe mil zindagi to rah-guzar ki baat hai shadi-o-gham par karen kya tabsira tere mere sab ke ghar ki baat hai raste to hain magar manzil nahin kya hamare rahbar ki baat hai ab to dukanon pe bikti hai wafa dosto ifraat-e-zar ki baat hai baal-o-par hote to kyun hote asir qaid mein kyun baal-o-par ki baat hai mutmain koi nahin haalat se sham ke lab par sahar ki baat hai har qawi ko hai wahan jaane ka haq dasht ki aur bahr-o-bar ki baat hai murdani zail ho ya baqi rahe ye tere husn-e-nazar ki baat hai