is baat ki nahin hai koi intiha na puchh

is baat ki nahin hai koi intiha na puchh
ai muddaa-e-khalq mera muddaa na puchh

kya kah ke phul banti hain kaliyan gulab ki
ye raaz mujh se bulbul-e-shirin-nawa na puchh

jitne gada-nawaz the kab ke guzar chuke
ab kyun bichhae baithe hain hum boriya na puchh

pesh-e-nazar hai past-o-buland-e-rah-e-junun
hum be-khudon se qissa-e-arz-o-sama na puchh

sumbul se wasta na chaman se munasibat
is zulf-e-mushk-bar ka haal ai saba na puchh

sad mahfil-e-nashat hai ek sher-e-dil-nashin
is barbat-e-sukhan mein hai kis ki sada na puchh

kar rahm mere jeb o gareban pe ham-nafas
chalti hai ku-e-yar mein kyunkar hawa na puchh

rahta nahin hai dahr mein jab koi aasra
us waqt aadmi pe guzarti hai kya na puchh

har sans mein hai chashma-e-haiwan-o-salsabil
phir bhi main tishna-kaam hun ye majra na puchh

banda tere wajud ka munkir nahin magar
duniya ne kya diye hain sabaq ai khuda na puchh

kyun 'josh' raaz-e-dost ki karta hai justuju
kah do koi ki shah ka haal ai gada na puchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close