is gham ki dhup mein mujhe purwaiyan na do

is gham ki dhup mein mujhe purwaiyan na do
jalne do apni zulf ki parchhaiyan na do
larzan hain do-jahan qayamat bapa na ho
apne shuur-e-husn ko angdaiyan na do
aa jao kab se khalq tarasti hai did ko
parde mein apne aap ko tanhaiyan na do
ho jae jis mein gharq meri kashti-e-umid
wo bahr-e-iztirab ki gahraiyan na do
hoti hain kargar kahin jhuti tasalliyan
ai chaarasazo dil ko shakebaiyan na do
roz-e-azal se hai dil-e-wahshi junun-pasand
majnun ko zauq-e-anjuman-araiyan na do
'afat' utha lun hath na us zist se kahin
mere junun-e-ishq ko ruswaiyan na do