is tarah pahunchega kaise paya-e-takmil ko

is tarah pahunchega kaise paya-e-takmil ko
aakhiri kahta hai kyun tabut ki har kil ko

khud zarurat-mand hai rota hai khud tarsil ko
chahiye paighambar apne liye jibril ko

kab se sota hai karo bedar mikhail ko
warna kafi kaam mil jaega izrail ko

tu ne go koi kasar chhodi nahin rabb-e-karim
kaam ye karna padega phir bhi israfil ko

shahr ke qanun din mein todna aasan na tha
raat mein nikli hai duniya ilm ki tahsil ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close