ishq mein zor umr-bhar mara aaqibat kohkan ne sar mara nala-e-dil ne khush-nawai mein tana-e-saut hazar par mara zakhm pinhan dil-o-jigar mein nahin na khula kya idhar-udhar mara mujh ko ghadiyaliyon ne hijr ki raat be-bajae hue gajar mara dahne baen malak hain dekh na len is liye dekh-bhaal kar mara sadgi par mite hue the yunhi aur bhi us ne ban-sanwar mara mar-miton ka pata kahin na laga be-nishanon ka dhundh ghar mara chashm-e-tar ne baha ke ju-e-sarishk mauj-e-dariya ko dhaar par mara hum wo hain kushta-e-tamanna 'shad' khwahish-e-dil ko umr-bhar mara