itna na ghum raat ko phulon ki bas mein

itna na ghum raat ko phulon ki bas mein
soe pade hain chaaron taraf sanp ghas mein

har samt us ne aatishi shishe laga diye
sadkon pe log aae the kale libas mein

gardish mein zindagi rahi afwah ki tarah
umren guzar di gain khauf-o-hiras mein

agla nisab nur-e-basirat se padh liya
aankhen to chhod aae the pahli class mein

ye aur baat zer-e-zamin dafn ho gain
warna jadon ka khun hai phal ki mithas mein

ab bar bar us ki taraf dekhte ho kiya
ab sirf meri tishna-labi hai gilas mein

manzar kisi tilism ki zad mein na ho 'nasim'
sarson ka rang daud raha hai kapas mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close