itne chup kyun ho majra kya hai aaj 'shair' tumhein hua kya hai waqia ye hai the isi qabil hum jo ruswa hue bura kya hai hasil-e-kaenat hai is mein mere saghar ko dekhta kya hai dil ki baaten suno nigahon se ye na puchho ki muddaa kya hai teri ek ek ada ne lut liya be-wafai hai kya wafa kya hai samne apne aaina rakh lo ye na dekho mujhe hua kya hai zarra zarra jawab de dega puchhiye to zara khuda kya hai ab to 'shair' zamana hai dushman rahzan kya hai rahnuma kya hai