jaan dete hain magar izhaar hum karte nahin yani tashhir-e-salib-o-dar hum karte nahin apne dushman ko bhi lalkarenge aa kar samne pusht se chunki kisi par war hum karte nahin ho raha hai har taraf turfa tamasha roz-o-shab umr ko ab bar-sar-e-paikar hum karte nahin jab tumhaare shahr ka har zarra zarra hai aziz kaun kahta hai ki tum se pyar hum karte nahin hai zamana kuchh zamane ki rawish kuchh aur hai khud ko ruswa yun sar-e-bazar hum karte nahin nam ki apne tamanna ya sile ki aarzu log karte hain magar 'ansar' hum karte nahin