jaane kahan gaya hai wo wo jo abhi yahan tha wo jo abhi yahan tha wo kaun tha kahan tha ta-lamha-e-guzishta ye jism aur sae zinda the raegan mein jo kuchh tha raegan tha ab jis ki did ka hai sauda hamare sar mein wo apni hi nazar mein apna hi ek saman tha kya kya na khun thuka main us gali mein yaro sach jaanna wahan to jo fan tha raegan tha ye war kar gaya hai pahlu se kaun mujh par tha main hi daen baen aur main hi darmiyan tha us shahr ki hifazat karni thi hum ko jis mein aandhi ki thin fasilen aur gard ka makan tha thi ek ajab faza si imkan-e-khal-o-khad ki tha ek ajab musawwir aur wo mera guman tha umren guzar gai thin hum ko yaqin se bichhde aur lamha ek guman ka sadiyon mein be-aman tha jab dubta chala main tarikiyon ki tah mein tah mein tha ek daricha aur us mein aasman tha