jab nigah-e-talab moatabar ho gai

jab nigah-e-talab mo'atabar ho gai
manzil-e-shauq dushwar-tar ho gai

saat-e-gham bhi kya mukhtasar ho gai
teri yaad aai thi ki sahar ho gai

har haqiqat khud apni khabar ho gai
bidat-e-rang sarf-e-nazar ho gai

raat mahfil mein wo be-naqab aae the
aur hum ne ye samjha sahar ho gai

apne pindar ki lash dhote rahe
zindagi apni is mein basar ho gai

aaine se palatti rahi har kiran
har nazar apni hi parda-dar ho gai

koi ilzam jalwon pe aaya nahin
bebasi aankh ki mushtahar ho gai

wo jo aae to sailab-e-nur aa gaya
raushni khud hi sadd-e-nazar ho gai

chaarasazi na ki haif nazron hi ne
hum ne samjha dua be-asar ho gai

hae phir teri baaton mein dil aa gaya
phir fusun-saz teri nazar ho gai

apne ijz-e-nazar ka bharam khul gaya
be-hijabi teri dida-war ho gai

'tarzi' qadmon ke badle jabinen milen
na-rasi qismat-e-sag-e-dar ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close