jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin ye dekh meri mohabbat mein kuchh kami to nahin hazar gham sahi dil mein magar khushi ye hai hamare honton pe mangi hui hansi to nahin mite ye shubh to a dost tujh se baat karen hamari pahli mulaqat aakhiri to nahin hui jo jashn-e-bahaaran ke nam se mansub ye aashiyanon ke jalne ki raushni to nahin hayat hi ke liye be-qarar hai duniya tere firaq ka maqsad hayat hi to nahin gham-e-habib kahan aur kahan gham-e-jaanan musahibat hai yaqinan barabari to nahin ye hijr-e-yar ye pabandiyan ibaadat ki kisi khata ki saza hai ye zindagi to nahin tumhaari bazm mein afsana kahte darta hun ye sochta hun yahan koi ajnabi to nahin