jaen ghuD-dauD par ki khelen tash

jaen ghud-daud par ki khelen tash
'mir'-ji raaz-e-ishq hoga fash

pattharon mein laga rahe hain jonk
chand mein khun-e-garm ki hai talash

yun jhagadte hain jhuti qadron par
zan-e-fahish pe jis tarah aubash

nae andaz se hanut hui
ab na bu degi zindagi ki lash

ud gaya bhap ban ke dil ka lahu
ab zamin dur hai qarib aakash

hue mafluj wo bhi jin ke liye
ek aalam tha bar-sar-e-parkhash

lala-e-koh ko dimagh nahin
nashsha lati hai mukhtalif khashkhash

kaise bhukon marenge itne log
be-huda ahd-e-nau mein fikr-e-qimash

haf-iqlim ke khazanon par
hath dalenge an-ginat qallash

ab na aaya hisar se bahar
naqsh mein khud hi dhal gaya naqqash

rashk-e-gul hon ki misl-e-nashtar hon
yahi nakhun 'nazar' mein zakhm-tarash


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close