jahan mein hum jise bhi pyar ke qabil samajhte hain

jahan mein hum jise bhi pyar ke qabil samajhte hain
haqiqat mein usi ko zist ka hasil samajhte hain

mila karta hai dast-e-ghaib se makhsus bandon ko
kisi ke dard ko hum kaenat-e-dil samajhte hain

jinhen shauq-e-talab ne quwwat-e-bazu ata ki hai
talatum-khez tughyani ko wo sahil samajhte hain

sitam aise kiye tamsil jin ki mil nahin sakti
magar wo is jafa ko awwalin manzil samajhte hain

mohabbat lafz to sada sa hai lekin 'aziz' is ko
mata-e-dil samajhte the mata-e-dil samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close