jala ke daman-e-hasti ka tar tar utha kabhi jo nala-e-gham dil se shoala-bar utha khyal-o-fikr-o-tamanna ka khun chhup na saka zaban khamosh thi lekin lahu pukar utha falak pe jab bhi haqaeq ki surkhiyan ubhrin zamin se kohna riwayat ka ghubar utha rawan-dawan hai rag-e-sang mein lahu ki tarah wo zindagi ka talatum jo bar bar utha rah-e-hayat mein jab dagmagae mere qadam mera hi naqsh-e-kaf-e-pa mujhe pukar utha fareb-e-wada-e-farda ka zikr kya kije wo mo'atabar hi the kab jin ka e'tibar utha 'farid' ahl-e-gulistan bhi hosh kho baithe kuchh is ada se hijab-e-rukh-e-bahaar utha