jazba-e-ishq bhi hai garmi-e-bazar bhi hai

jazba-e-ishq bhi hai garmi-e-bazar bhi hai
husn-e-yusuf ka magar koi kharidar bhi hai

shoala-e-tur bhi hai jalwa-gah-bar bhi hai
dekhna ye hai koi talib-e-didar bhi hai

dil ka sauda mujhe manzur hai lekin ai dost
mera ham-zauq bhi hai munis-o-gham-khwar bhi hai

kabhi badle hue tewar kabhi duzdida nazar
ek hi waqt mein iqrar bhi inkar bhi hai

pur-ziya bazm-e-masarrat hai ziya-e-gham se
jis jagah phul mahakta hai wahan khar bhi hai

chashm-e-saqi ka na mai-khwar sahaara dhunden
wo sukhan-saz bhi hai aur jafa-kar bhi hai

meri duniya mein wahi sham-o-sahar hain ab tak
zindagi talkh bhi hai aur giran-bar bhi hai

dil hatheli pe liye sar ko jhukae rahna
un ka mansha bhi hai aashiq ko saza-war bhi hai

jab gham-e-dil ko masiha ki zarurat hi nahin
ab main samjha hun ye ek uqda-e-dushwar bhi hai

'sajid'-e-khasta ko aaghosh-e-karam mein le le
tera banda bhi hai aur tera gunahgar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close