jhamakte jhumte mausam ka dhoka kha raha hun main bahut lahrae hain baadal magar pyasa raha hun main hui jab dhup ki barish mere sar par to kya hoga darakhton ke ghane sayon mein bhi sanwla raha hun main wahi kuchh kar raha hun jo kiya mere buzurgon ne nae zehnon pe apne tajrbe barsa raha hun main ye tohmat khak tohmat hai mere ham-jurm ham-sayo tumhaari umr mein tum se kahin ruswa raha hun main khayal aata hai bazaron ki raunaq dekh kar mujh ko bhare dariya mein tinka ban ke bahta ja raha hun main teri aaghosh chhuti to mili wo bad-dua mujh ko ki ab apni hi banhon mein simatta ja raha hun main 'qatil' ab tak nadamat hai mujhe tark-e-mohabbat par zara sa jurm kar ke aaj bhi pachhta raha hun main