jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain

jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain
kis ehtimam se unhen hum yaad aae hain

dair-o-haram ke habs-kadon ke satae hain
hum aaj mai-kade ki hawa khane aae hain

ab ja ke aah karne ke aadab aae hain
duniya samajh rahi hai ki hum muskurae hain

guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad hum
kuchh dur aadatan bhi qadam ladkhadae hain

ai josh-e-girya dekh na karna khajil mujhe
aankhen meri zarur hain aansu parae hain

ai maut ai bahisht-e-sukun aa khush-amdid
hum zindagi mein pahle pahal muskurae hain

jitni bhi mai-kade mein hai saqi pila de aaj
hum tishna-kaam zohd ke sahra se aae hain

insan jite-ji karen tauba khataon se
majburiyon ne kitne farishte banae hain

samjhate qabl-e-ishq to mumkin tha banti baat
naseh gharib ab hamein samjhane aae hain

kabe mein khairiyat to hai sab hazrat-e-'khumar'
ye dair hai janab yahan kaise aae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close