jigar ke KHun se raushan go ye charagh raha

jigar ke khun se raushan go ye charagh raha
misal-e-mah chamakta to dil ka dagh raha

badal gaya hai zamana chali wo baad-e-sumum
na gul rahe na wo bulbul rahi na bagh raha

huzur-e-husn se khushiyan na mil sakin na sahi
mata-e-gham se to sad shukr ba-faragh raha

wo dal di ghalat andaz ek nazar tu ne
ki main zamin pe raha arsh par dimagh raha

na hogi bazm-e-jahan mein rasai-e-zulmat
yahan charagh se jalta agar charagh raha

kise tha hosh kisi ki talash ka 'rizwi'
tamam umr hi main darpai-e-suragh raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close