jine ki hai umid na marne ki aas hai

jine ki hai umid na marne ki aas hai
jis shakhs ko bhi dekhiye taswir-e-yas hai

jab se masarraton ki hui justuju mujhe
main bhi udas hun mera dil bhi udas hai

lashon ka ek dher hai ghere hue mujhe
aabaad ek shahr mere aas-pas hai

mujh se chhupa sakegi na apne badan ka kodh
duniya meri nigah mein yun be-libas hai

yaran-e-mai-kada mera anjam dekhna
tanha hun aur samne khali gilas hai

ab tark-e-arzu ke siwa kya karen 'zuhair'
is dasht-e-arzu ki faza kis ko ras hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close